Yun Haath Failaaye.............
Yun Haath Failaaye Sadkon Par,
Mesus Use Mai Karta Hun....
Koi Aur Nahi Hai Duniya Mai,
Jitna Pyaar Usse Mai Karta Hun....
Jab Jarurat Thi Mujhe Mamta Ki,
( Chote Bacche ko hamesha maa ke pyaar ki jarurat hoti hai tab maa hi to bacche ko pyaar deti hai
isliye kaha gaya hai maa ki mamta se jada kuch nahi)
To Jab Jarurat Thi Mujhe Mamta Ki,
Us Janani Ne Maata Ka Pyaar Diya....
Mai Rehta Be-Khabar Sansaar Sey,
Usne Mujhko Yaha Jeene Ka Adhikaar Diya.........
Yun Haath Failaaye Tezz Hawaaon Mey,
Uski Pukaar Mai Sunta Hun...
Wah Roz Bulaaye Pass Mujhe,
Koson Dur Usse Mai Rehta Hun...
Mujhe Marna Nahi Gawara Hai,
Uski Khaatir Mai Jeeta Hun...
Mehfil Saji Ho Jab Yaaron Ki,
Sharaab Ko Haath Nahi Mai Lagata Hun...
Uski Yaadon Mey Aanshu Ko,
Pikar Ke Hi Soo Jaata Hun...
Yun Haath Failaaye Sadkon Par......
"Shaan" Ki Kalam Se.....
Very beautifully expressed. :)
ReplyDeleteThank you Maitreni :)
Deleteसुन्दर प्रस्तुति !
ReplyDeleteआज आपके ब्लॉग पर आकर काफी अच्छा लगा अप्पकी रचनाओ को पढ़कर , और एक अच्छे ब्लॉग फॉलो करने का अवसर मिला !