Posts

Showing posts from January, 2015

JAB GHAR PASS AATA HAI

Jab ghar pass aata hai, mohobbat umad si jaati hai, Gussa aankh me dekhun to yaad pitaji aate hai, gusse ko gaur se dekhun, nazar khud par pyaar aata hai, ye samay tham sa jaata hai, jab ghar pass aata hai...  Sochta hun to yaad aakhri mulaakat aati hai, dheere dheere yaad unki har baat aati hai, dil me dar sa banta hai , ye samay tham sa jata hai, jab ghar pass aata hai,,, Aankhein band jo kar dun, to chehra maa ka aata hai, aakhein bhar si jaati hai, ye samay tham sa jata hai, jab ghar pass aata hai... Koi bachha jo rota hai, to daadi yaad aati hai, chehra dekh kar mera vo bas muskuraati hai, dhadkane badh si jaati hai, ye samay tham sa jata hai, jab ghar pass aata hai... Kalpana se agar jaagun, to bachpan yaad aata hai, dada k pet par baitha, vo ladka khilkhila ta hai, ye samay tham sa jata hai, jab ghar pass aata hai... Dada ki yaad me aakhein meri nadiyan bahati hai, me kitnahi rok lun khud ko- ye mujhko r