MAA (MOTHER)

Maa mai teri chahat ko~
Apni daulat banaunga,

Log muhabbat ke tarane~
sunaate hai,
Me duniya ko Maa-bete ka~
kissa sunaunga...

Aaj bhalehe hun tujhse dur~
magar, suna hai Dil ki baat saat samadar~
paar bhi sunaai deti hai,
to soon-
Aaj teri gaatha mai apne~
dil se sunaunga.

Ae Maa,
Tujhe rona tha jitna tu~
pehle roo chuki,
Ab to bas harpal tujhe~
hasaunga,

Tere chehre ki khushi me~
mera sab kuch hai,
aur is khushi ki khaatir to~
me apni mehbooba ko bhul jaaunga,

Tu unhi muskuraati rehna hamesha,(Maa) (2)
warna mai tujhse rooth jaunga,
Tera saath na raha agar~
to mai toot jaunga(Maa)(2)

Suna hai marte waqt upar waale ka~
naam lene se mukti mil jaati hai.
To thik hai,
Mai apne antim samay me tujhe~
gohraaunga,
Maa mai bas tujhe gohraaunga...
By-Subham Tivari
B.tech (M.E)

Comments

Popular posts from this blog

किस्मत का लेखा जोखा है

कम तजुर्बे में युगों को देखा है

ETERNAL LOVE