Naari


Yaha anek roop hai Naari k~
Inki lajja inka abhimaan hai,
Yah kar sakti hai kuch bhi yaha~
Us vidhata ka inko wardaan hai,


Hui Ramayana jiske khaatir~
Wah seeta bhi ek Naari thi,
Jisne apni pavitrata se~
Agni-pariksha bhi taari thi,

Aur
Aaj Dahej pratha ki Agni me~
Kitni seeta ke praan gayee.

Hasthinapur ki bhari sabha me~
Bhid bohot he bhaari thi,
Waha huva Draupadi ka cheer-haran~
To Mahabharat ka yuddh chhida,
Wah Draupadi bhi ek Naari thi,

Aur
Dushashana huva aaj har insaan yaha~
Kitni Draupadi ke cheer haree.


Fir ho raha Draupadi ka cheer-haran~
Kya koi krishna bachane aayega?
Yaha har-pal Duryodhana jeet raha~
Kya buraai ka jhanda lehraayega?

Ae khuda ab le avtaar yaha~
warna sab khatam ho jaayega,
Na wajood rahega Naari ka~
Logon ka tujhse vishwas uth jaayega.....

By-Subham Tivari
B.tech (M.E)


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

किस्मत का लेखा जोखा है

कम तजुर्बे में युगों को देखा है

ETERNAL LOVE