Yaha anek roop hai Naari k~ Inki lajja inka abhimaan hai, Yah kar sakti hai kuch bhi yaha~ Us vidhata ka inko wardaan hai, Hui Ramayana jiske khaatir~ Wah seeta bhi ek Naari thi, Jisne apni pavitrata se~ Agni-pariksha bhi taari thi, Aur Aaj Dahej pratha ki Agni me~ Kitni seeta ke praan gayee. Hasthinapur ki bhari sabha me~ Bhid bohot he bhaari thi, Waha huva Draupadi ka cheer-haran~ To Mahabharat ka yuddh chhida, Wah Draupadi bhi ek Naari thi, Aur Dushashana huva aaj har insaan yaha~ Kitni Draupadi ke cheer haree. Fir ho raha Draupadi ka cheer-haran~ Kya koi krishna bachane aayega? Yaha har-pal Duryodhana jeet raha~ Kya buraai ka jhanda lehraayega? Ae khuda ab le avtaar yaha~ warna sab khatam ho jaayega, Na wajood rahega Naari ka~ Logon ka tujhse vishwas uth jaayega..... By-Subham Tivari B.tech (M.E)