Posts

Showing posts from April, 2015

Kathmandu (NEPAL)

Image
Na Imaratein Bachi, Na Bacha Insaan, Na Jaane Kyun Rooth Gaya Bhagwaan, Karodon Garibon Ke Ghar To~ Tute-He-Tute, Khuda Ne Apne Aap Ko Bhi~ Sadkon Par Kar Lia..... By-Subham Tivari B.Tech (M.E)   

Ghunghat Hata To De.......

Image
Tere Gulbadan Ki Jo Saltanat Hai~ Us Saltana Ki Hukumat Mein Sahaadat Ka Mauka To De..... Teri Sabaahat Par Ab Sabra Nahin Mera~ Tere Hothon Ke Jaam Ko Kabhi Peene Ki Ijaajat To De..... Muz Muntazir Ki Aankhon Mein Hai~ Nasha Tera, Duniya Kehti Hai Meikashi Mein Dooba Hoon, Ae Sanam Ye Meikashi Kya Hoti Hai Bataa To De.... Mein Tadpaa Hoon Tere Dedaar Ki~ Tapish Mein, Jara Ghunghat Apne Chehre se Hata To De...... By-Subham Tivari B.Tech (M.E)  

Muhabbat ki Dalaalat

Image
Kuch To Huaa Hai Varna~ Itni Haseen Har Raat Nahi Hoti, Dalaalat De Raha Hai Khuda Bhi Varna~ April Mein Barsaat Nahi Hoti...... कुछ तो हुआ है वरना~ इतनी हसीं हर रात नहीं होती, दलालत दे रहा है खुदा भी वरना~  अप्रैल में बरसात नहीं होती । By-Subham Tivari B.Tech (M.E)

Maa Mujhe Duniya Nahi Bas Tu Chahiye..............

Image
Maa Mujhe Duniya Nahi Bas Tu Chahiye~ Bachpan Ke Us Pyaar Ki Khusboo Chahiye, Ho Gai Is Ujaale Me Yeh Aankhein Meri Kamzor~ Ab Raaton Me Wah Baag Ke Jugnoo Chahiye, Kitaab Aur Kalam Ki Daud Me~  Mai Kho Sa Gaya Hoon, Maa Lauta De Vo Patiya Aur~ Guru Bas Tu Chahiye, Na Rahi Maamuli Ab~ Ye Chot Hai Dil Ki, Maa Mujhe Rona Hai~ Tera Pallu Chahiye Maa Mujhe Duniya Nahi Bas Tu Chahiye Maa Mujhe Bas Tu Chahiye..... By-Subham Tivari B.Tech (M.E)

Small Love Story Of Lunch Break

Image
Mai Baitha Tha Jaha Par Kya~ Nazara Dikh Raha Tha, Kuch Vo Likh Rahi Thi~ Aur Kuch Mai Likh Raha Tha, Ek-Dusre Ki Likhawat Ka Na Andaja Tha Hume! Chori Se Vo Dekh Rahi Thi~ Chori Se Mai Dekh Raha Tha, Nazar Rukihe Thi Ki Humari ~ Nazar Mil Gaye,, Ankho He Ankhon Se Unki~ Khabar Mil Gaye.... Khuda Ko Raaz Na Aaya- (Bas Fir Kya Tha) Sharma Kar Usne Apni Nazar Churaali~ Tikhi Nazron Pe Apne Julfe Giraali, Wqat Ne Dil Par Kya Teer Chalaya~ Ki Usse Uske Kisi Dost Ne Bulaya, Uth Kar Vo Chal Diye, Wqat Ka Zor Tha Humper~ To Uth Kar Hum Bhi Chal Diye..... By-Subham Tivari B.Tech (M.E)

Parchaai Pe Likhta Hoon....

Image
Kabhi Uski Bewafaai Pe Likhta Hoon, To Kabhi Uski Ruswaai Pe Likhta Hoon, Jab Bhi Akela Hota Hoon~ Mai Apni Tanhaai Pe Likhta Hoon, Din Aata Hai Jab June-July~ To Humaari Judaai Pe Likhta Hoon, Pata Nahin Vo Khush Hogi~ Ya Hogi Udaas, Jo Mere Zehen Me Uski Chabi Basi Hai~ Doston, Us Chabi Ki Parchaai Pe Likhta Hoon..... By-Subham Tivari B.Tech (M.E)

Nasha

Image
Jabse Mili Hai Nazar Tujhse~ Mai Nashe Me Hoon, Teri In Maasum Aankhon Me Itna Nasha~ Sach Bata Kahin Inme Maikashi To Nahi.N? जबसे मिली है नज़र तुझसे ~ मै नशे में हूँ , तेरी इन मासूम आँखों में इतना नशा ~ सच बता कहीं इनमें मैकशी तो नहीं ? By- Subham Tivari B.Tech (M.E)

Yaad

Image
सुरत उसकी भुलाए नही भुलती  दोस्तों , बेवफ़ाई अक्सर याद बनकर रेह जाती है । By-Subham Tivari B.Tech (M.E)

Dil (HEART)

Image
Ae Khuda, Mai Kaise Kahun Bewafaa Use? Maana Vo Chod Gai Mujhe~ Magar Mera Dil To Ab Bhi Ussi Ke Pass hai.......... ऐ खुदा, मै कैसे कहुँ बेवफ़ा उसे ? माना वो छोड़ गई मुझे~ मगर मेरा दिल तो अब भी उसी के पास है । By-Subham Tivari B.tech (M.E)

Tohfah

Vo Jaate-Jaate Mujhe Akele Jine Ki~ Saza De Gai Uski Bewafaai Bhi Yaaron Mujhe~ Nazm ka Tohfah De Gai...... वो जाते जाते मुझे अकेले जीने की ~  सजा दे गई, उसकी बेवफाई भी यारों मुझे ~  नज़्म का तोहफा दे गई ।  By-Subham Tivari B.tech (M.E)

Khwaabon Ka Mehtaab

Image

Naa-Samajh

Image

MAA (MOTHER)

Maa mai teri chahat ko~ Apni daulat banaunga, Log muhabbat ke tarane~ sunaate hai, Me duniya ko Maa-bete ka~ kissa sunaunga... Aaj bhalehe hun tujhse dur~ magar, suna hai Dil ki baat saat samadar~ paar bhi sunaai deti hai, to soon- Aaj teri gaatha mai apne~ dil se sunaunga. Ae Maa, Tujhe rona tha jitna tu~ pehle roo chuki, Ab to bas harpal tujhe~ hasaunga, Tere chehre ki khushi me~ mera sab kuch hai, aur is khushi ki khaatir to~ me apni mehbooba ko bhul jaaunga, Tu unhi muskuraati rehna hamesha,(Maa) (2) warna mai tujhse rooth jaunga, Tera saath na raha agar~ to mai toot jaunga(Maa)(2) Suna hai marte waqt upar waale ka~ naam lene se mukti mil jaati hai. To thik hai, Mai apne antim samay me tujhe~ gohraaunga, Maa mai bas tujhe gohraaunga... By-Subham Tivari B.tech (M.E)

Tasveer

Ae Dost, Mat kar sar-e-aam tasveerein~ is chehre ki, Teri ek hasi pe kai hasino.n ki jaan~ Halak tak aa jaati hai.... By-Subham Tivari B.tech (M.E)